" It's the same land, the same sky, but perceptions differ
it's the same road, the same turn, but journeys differ. "

Friday 15 March 2013

manzil kuch dur h...

manzil kuch dhundli h
chhaanv si dhaki, andhere me dubki
bhanak toh deti h par dikhti nahin

roshni se vanchit, kone me kahin
awaaz toh deti h par sunti nahin
ithlati toh h par hansti nahin

dhuyein me gum, pukarti toh h
par mai khoj pati nahin

kabhi idhar, kabhi udhar
bhatkati si mujhe
meri manzil kyun gumrah krti mujhe

iss taraf jaun toh lage kuch chhut sa raha
uss taraf jaun toh lage sab pichhe reh gaya

machalti si tamannayein
ye bhi chahein wo bhi chahein

doobna bhi chahein, udna bhi chahein
rona bhi chahein, khilkhilana bhi chahein
ghumna bhi chahein kahin, gum hona bhi chahein
manzil hi na jane aur pana bhi chahein

manzil shayd kuch dur h
kuch waqt majbur kuch hum majbur h
wo waqt humara bhi ayega
jab kismat ka pitara khul jayega
jo chaha wo humein mil jayega
jab manzil paas, aur sab saaf nazar aa jayega....

2 comments:

  1. doobna bhi chahein, udna bhi chahein
    rona bhi chahein, khilkhilana bhi chahein
    ghumna bhi chahein kahin, gum hona bhi chahein
    manzil hi na jane aur pana bhi chahein

    Kya baat hai :)

    ReplyDelete
  2. :) these were straight from my heart...... struggling times na...... u know well....... :)

    ReplyDelete