" It's the same land, the same sky, but perceptions differ
it's the same road, the same turn, but journeys differ. "

Tuesday, 7 February 2012

band kamre me tanhaai si palti hai
ojhal hoti roshni, jharokhoen se dikhti hai
jee to chahta hai k mai bhi udu
par bandhan kuch yun bane hain
k na jeete banta hai, na marte banta hai...

yahan kabhi kabhi dum sa ghut-ta hai
duniya se kata-kata sa lagta hai
par kismat toh dekho humari
na taala todte banta hai
aur na darwaza hi taakte banta hai...

na koi himmat dene wala hai
na koi pyar se samjhane wala
yahan hum apni hi kala bhul gaye
qalam aur kagaz se rishta tod baithe
ab na likhte banta hai, na padhte banta hai...

tishnagi hai, aazaad hone ki
kuch waqt khud ko khud se hi paal pane ki
par ye zaalim waqt bhi tadpata hai
na bandishein todta hai
na hi jaan le leta hai...

ek baar mauka toh mile
kuch thodi khushiyan batorne mile
phir is kamsin dil ki shikayatein bhi dur hongi
taaki phir humse
haste bhi bane aur khilkhilate bhi bane...