" It's the same land, the same sky, but perceptions differ
it's the same road, the same turn, but journeys differ. "

Sunday, 12 May 2013

talab...

talab si lagi h
jo phansa h saansoen me
jisne jakda h phanso me
usse chhootne ki, tutne ki
ek talab si lagi h...

apne hi khayalo se, yaadoen se
iraadoen se, dil ki muraadoen se
chhootne ki, azaad hone ki
ek talab si lagi h...

mann k vichaaaroen se
behti sookhi nadiya ke
kinaroen pe dabi seepiyon ke
us gungunahat se
use khamosh karne ki, ansuna karne ki
ek talab si lagi h...

inhi pannoen se, qalam se
chhapte chand shabdoen se
aur unme base dard se, jazbaatoen se
chhoot jane ki, door ho jane ki
ek talab si lagi h...

ye tishnagi mit-ti nahin
talab bujhti nahin
isi pyaas, isi ehsaas
is talab k mitne ki
isse chhoot jane ki ek bas talab si lagi h...

1 comment:

  1. AnonymousMay 12, 2013

    Hello it's me, I am also visiting this site on a regular basis, this web site is actually nice and the visitors are really sharing pleasant thoughts.

    my web page ... please click the next document

    ReplyDelete