Dafe dar dafe, hum marte rahe
Dafe dar dafe, tujhse darkaar karte rahe
Tujhe kehti rahi nigaahein
K maan bhi lle zaalim, is dil ki qaraarein
Har nazm tere liye padhi
Har lafz tere liye dhari
Tujhe dekh hi ye dil khile
Tujhe paa kr hi rooh chale
Tu maan bhi lle zaalim
Har afsana sachcha hai
Teri hi nazar se sab sach nahin
Kuch toh mera bhi haq banta hai
Gidgidati rahi har baar tere saamne mai
Na suni meri aah tune phir bhi kyun
Kho kar hi mana tu aaj deewane
Ab umrbhar ka rona reh gya
Kya bharosa insan ka
Kal fir hass lega
Koi noor pasand aya
Aur fir aage badh lega
hum royenge, bilkhenge tab bhi sanam
lekin ab laut kr nahin ayenge
dil tut gya hai
rooh jal uthi hai
tumse mohabbat jo kri itni paak
shaq ne us pr kaalikhque mal di
pyar jo panpa tha hum beech
tere zehar ne us pr thuk diya
hum marr gaye aaj
hum marr gye aaj...
Amazing web log and really fascinating stuff you bought here! I positively learned plenty from reading through a number of your earlier posts in addition and set to drop a discuss this one!
ReplyDelete