" It's the same land, the same sky, but perceptions differ
it's the same road, the same turn, but journeys differ. "

Saturday, 23 July 2011

“aaj bhaagne ko ji chaha hai
is ajab-gazab si duniya se
jhilmil jhilmil ummedo se
toote, bhikhare kuch sapno se
veeraane se band kamro me
ojhal hoti hasti se
gumsum, chup chup in adharo ki
ankahi, dabayi kuchh baato se
dhundli kuchh beeti yaadoen se
hasti roti barsaatoen se
muskurati, ithlati angdayi ki
pyasi, utsuk saugaatoen se
bheege mausam ki nam aankhoen se
behte girte is pani se
aaj bhaagne ko ji chaha hai
is ajab-gazab si duniya se…..”


1 comment: